Open Letter( Roman Urdu)

Aik Open Letter Ahmed Aziz Kay Naam


Ahmad Aziz family aur Ahmad Aziz jab larki aap log pasand karlaitay hain----- aur upnay pooray khandan aur rishtay daron say bhe aap log pasand karalaitay hain hatah kay larki ke inquiry jahan jahan say bhe kartay hain wahan say apko intahai positive remarks miltay hain larki aur us kay ghar walon kay baray main aur unkee shrafat kay baray main. Apko yaad hay na kay poori tasali karnay kay baad he aap logon nay final haan kee thee. Is saray process main ik larkee jin phases say guzartee hay us ka andaza sirf wo log he laga saktay hain jin pur khood beeti ho. Ye tamam marahil main waqt lagta hay aur rishta anay say rishta final hona yaqeenan guday guria ka khail nai hota.

Aur jab tamam marahil finalize hojatay hain aur hum upnay rishtay daron ko itlah day daitay hain aur wo shadi main shirkat ka soch rahay hotay hain aur preparations start kardaitay hain tab jakay ap logon ko achanak khayal aata hay kay ub koe aur rishta search karna chahiyey aur yey soch aatay he aap ke mother ka ik phone ata hay aur koe bhe waja batayey bina aur even maazrat kiyey bina he naan kar di jatee hay. 

(Note: Is inkaar say aik din pehlay aaplog formal date lainay atay hain to ajeeb sa pur israr behavior hota hay aur apki mother kehtee hain kay hum sirf teen log he nikah main ain gay aur larkee lay jain gay, yey baat ajeeb doubt ful thee kay rishta  daikhanay aur larki say milnay  to poori family ayey aur sub intahai piyar aur chao bhe karain larki ka aur jab nikah ke baat ayaey to  larkay samait sirf 2 log ain? Larki ke mother nay us waqt kaha kay yey cheez bilkul theek nai lagtee, nikah to hum nay bhe intahai sadgi say karna haay magar atleast ap kay ghar kay log to ain. Koe masla hay to batain otherwise abi aap shagan kay paisay rakhain upnay paas aur donon families ap kee taraf say teen log anay ke baat pur thora sochain, isi doran main baitay say pooch loon kay wo kab tak bahir say asakta hay to tareekh usi hisab say rakhi jayey ge aur yey bhe ap say kaha kay koe bhe masla hay to hamain batain hum hur tarah say ap kay saath tuawan kay liyey tayar hain. Magar aap logon ka attitude samaj say bahar tha, gharaz us din shagan ka tabadla nai hooya.) 

Inkaar call aanay kay baad hum samjhay kay hosakta hay is normal see baat ko lay kay ap logon nay inkaar kardia ho aur agar itni choti see  baat ko lay kay inkaar kia tab hamain koe parwah nai thee kay larki walay honay ka yey matlab nai kay daikhee makhee nigal lain. Baitee day rahay thay choree nai kar rahay thay key choron ke tarah ap baiti lainay ain aur hum ap kay hawalay kardaian. Ap jantay hain kay boht ikhlaq say ap say hum log hur marhalay pur paish ayey magar kisi bhe mukam pur upni dignity haath say janay na dee hatah kay ap logon ke inkaar call bhe boht grace aur khamoshi say sun li kuch bhe kahay bina. Aur zara bhe aap logon ko bother nai kia.  

Baat Yahan Bhe Khatam Hojatee To Shaid Dard Ka Unwan Na Bantee Magar

Phir apki call ai to pata chala kay rishta to bina kisi waja kay he khatam kardia gaya hay sirf is umid pur kay agar yey larki hamaray larkay ko mil saktee hay to is say behtar bhe mil saktee hay.     
WO BATAIN TAIRI WO AFSANAIN TAIARAY
Next day inkaar ke call anay kay baad Ahmad aziz apko to yad hay naa kay bakole apkay yey call apki mother nay ghar main kisi say poochay bina ke thee, aur apnay jab upni mother say poocha to apko yey bataya gaya kay yey rishta tay kartay he ghar main ik do paraishanian agai hain to apki mother (Mrs Aziz nay socha kay yey indication hay kay rishta khatam kardia jayey). Mazid ap nay bataya kay apkay abba is rishtay pur raazi nai to sub ghar walon ka khayal hay kay hum aba ko naraz nai karsaktay.  Wah ray zulam tairay rang niralay jab log tujey kisi pur kartay hain to kahan kahan say jawaz dhoondtay hain. Ap yey baat kehtay hooyey ye bhe bhool gayey kay apkay abba to pehlay din say he is arrange marriage ka hisa thay, hur cheez ap log unki marzee say kar rahay thay to ap logon nay  unki baat us waqt kion na mani jab larki aur us kay ghaar walay be rishtay pur tayar na thay. Aur ap  is cheez kay bhe gawah hain kay ap sub nay mil kay kitni requests keen theen hum say  hamaray baar baar inkaar kay bawajood aur koe shak nai kay ap kay tamam khandan nay  aur sub relatives nay hamari izat afzai he ke hamaisha, aur ap logon ke isi chahat ko hum nay bhe sur aankon pur rakha. Kitnay he compromises thay jo us larki nay kiyey ap logon ke mohabat ko daikhtay hooyey. Mrs Aziz yaad he hoga na apko to?
Ahmad Aziz Shukria Ap Nay Larki Walon Ko Acha Lesson Sikhaya
 Aur ap log is cheez kay bhe gawah hain kay muj say pehlay jitney rishtay ap logon nay daikhay thay wo kia kia open demands ap say kartay thay. Ap is pur bhe hamain boht pasand karteen theen kay na larki nay  na larki kay ghar ghaar walon nay kisi ghar, kisi jaidad ke, ap say farmaish kee aur na koe aur demand. Hum sada say log mohabat ke qadar karnay walay upnay RAB kay shukar guzar thaay kay fee-zamana agar koe sharif family baitee ka rishta izaat aur ahteram say mang lay aur log qadar karnay walay hoon to ALLAH ka shukar ada kartay hooyey farz ada kardo. Mrs Aziz family ap nay bawar karaya kay ham jaisyay izaat aur zuban pur marnay walay log ub upni soch ko badlain aur emotional honay ke bajayey thoray say at least material aspects kay baray main zaroor focused hoon. At least jo larki ka haq hay jaisay Haq Mehar aur proper security. Kisi ko yey haq na dain kay wo ap ki larki ko muft maal ke tarah hasil karay jab kay wo sahib-e- hasiat bhe ho. Larkay walon ke satah pur to khair larki walay phir bhe nai asaktay kay jis tarah unhon nay khof-e- KHUDA bhula dia hay, larkion ke zindagian tabah karkay bhe ALLAH ka naam dharalay say laitay hain, dua hay ALLAH larki walon ko kabhee itna majboor na karay kay wo tang akay larkay walon ke satah pur anay ka ghalati say bhe sochain. 
Ahmad Aziz Ub Yahan Say Agay Jo Kirdaar Aap Nay Ada Kia WO Yadgar Ban Gaya
Aur ap Mr Ahmad Aziz us waqt apko laga kay apkay ghar walon nay ap say poochay bina aur koe bhe makool waja kay baghair inkaar karkay bohat zulam kia hay aur bilkul bhe achi harkat nai kee. Aur apnay qasmain khakay us waqt kaha kay apkay ghar walay to bhool gayey kay khandani log jaan day daitay hain magar zuban say nai phirtay. Phir ap nay hum say request ke kay hum log peechay na hoon, bus thora sa wait karain kay sub theek hojayey ga. Mazid ap nay yeh kaha keh “Main real man of words hoon ( Ahmad Aziz and man ---- of words ------ the funniest ever claim) aur  yey shadi zaroor karoon ga  aur upnay ghar walon ko bhe mana loon ga.”
AAH LARKIO TUMARA KIA QASOOR KAY WAFA TUMARI MATI MAIN HAY
Larki walon nay apka saath kisi majboori main nai dia thaa us waqt, ap bhe jantay hain boht rishton ke choices theen magar zuban ka paas rakhnay kay liyey aur apka sath dainay kay liyey larki aur us kay ghar walon nay apko waqt dia. Khaas kar us larki nay kionkay usko kabhi nai bhoolta thaa kay ik din ap nay kaha tha kay apko us ki ashad zaroorat hay aur phir poocha thaa kia maira saath dain gee? To wo larki jis nay kabhe kisi da dil nai dukhana ya zaroorat kay wakt kisi ka saath chorhna seekha he nai thaa us ka khaloos us ko yey ijazat nai day raha thaa kay ik sensible insaan jis ko ahsas hay kay ziadti unki taraf say hooi haay aur wo is ki talafi dil say karna chahta hay us ko ik mouqa bhe na dia jayaey.
Ap nay upni sharafat, wazah daree, aur mohabat, alaa zarfi ke start say he presentation kuch is tarah ke thee kay koe khuwab main bhe soch nai sakta tha kay ye sirf waqti nakab hay.
YEY HAY APKA HONAY WALA SHOHAR
Ik eastern larki jis ko larkay kay ghar walay pehlay khood traditional way main pasand karnay kay baad phir larki say yey keh kay mulaqat karwain kay yey hay apka honay wala shohar.  Phir halaat o waqiat bhe kuch aisay hojain kay larka boht sensible, real gentleman aur hamdard ban kar ap say baat karay to wo larkee chahay kitnee he sakht dil ho wo us larkay ko pasand zaroor karnay lag jayey ge.
Dard Ke Saaree Dastaan Ap Nay Khood Plan Ke Thee
Aur  jab apko yakeen agaya kay main mentally aur  emotionally apko boht pasand karnay lag gai hoon to phir  ap nay ik new twist lia kay ap ghar walon kay baghair shadi karain gay  kionkay ap kay ghar walaay apkay liyey nai dulhan talaash kar rahay hain aur wo purana rishta ub nai jorain gay. 
Ahmad Aziz Ghar Walon Kay Bina Shadi Ap Kay Liyey Kitni Asan Hay-- Magar
Wo waqt aur stage itnee nazuk thee kay koe bhe larki hotee apko inkaar na kar saktee thee kay ik taraf to sub relatives shaadi main shirkat kay liyey bay chain horahay hoon aur doosri taraf ghar walon ke izat dao pur lagi ho aur larki bhe ik shakhs ko maseeha samajnay lag gai ho to us waqt ye koe issue nai reh jata kay larka ghar walon kay bina shaadi kar raha hay kay ghar walon ko mila kaay. Koe larkee bhee us waqt NO ke position main nai hotee.
IS JAAL KO BUNTAY HOOYEY MAIRAY ITNAY BARAY SADMAY KA ZARA TO KHAYAL KIA HOTA
Aur khas tore pur wo larki kia kartee jiss ke zindagi main apko honay walay shohaar ke soorat main apkay baron nay boht naaz, bohat piyar say us waqt shamil kia tha jab wo larki upnay piyaray father ke achanak death( ALLAH unhay upnay JAWAR-E- REHMAT main jagah ata karay)  kay sadmay aur baad main paish anay walay  bohat mushkil halaat ke waja say nidhal thee. Aik eastern larki jis ke zindagi ke jhulsa dainay wali dhoop main ik mard khara ho honay walay hamdard tareen shohar kay room main, aur khooshian dainay aur sahara ban-nay kay hasin wadon aur qasmon kay saath to kon larki hay jo aisay masiha ko hath say khoday  ge? Wo kis qadar sadmay aur dukh paraishanian seh rai thee pata thaa ap ko. Us larki kay liyey apko us waqt khona goya mout kay barabar tha. Ik taraf emotional set back tha aur doosri taraf ghar walon ke izat dao pur lagi thee kay khandan walon ke hazaron baton ka jawab kaisay dain jab kay poori family taaza taaza sadmay say guzree hay.
Magar wo larki ALLAH ke mashkoor hay keh ALLAH kay karam aur waldain ke tarbiat  ke waja say aisay halaat main bhe us nay upna nai socha. Upnay character aur moral values ko ik lamhay ko bhe nai bhulaya chahay majboorian aur paraishanian pahar jaisee theen tab bhe.
Ahmad Aziz Ap Kay Ghar Walon Nay Kia Kam Ziadti Kee Thee Keh Ap Bhe Maidan Main Kood Gaye?

Ahmad aziz sahab wo larki aisee nai thee jo kisi larkay ko us kay maan baap say alag karay. Yey alag baat hay kay chahay apkay maan baap nay kitna he zulam kamaya. Ahmad aziz ke family ap kaisay bhool sakain gay kay chahay ap nay kitna bhe bura kia mairay saath magar main nay palat kay kabhee ap ka bura nai socha. Aur yey bhe kay ap nay yey ziadti us masoom larki pur kee jis nay hamaisha ap ko pulkon pur he rakha. Khair main nay kaha kay main baat kartee hoon uncle aunti say agar wo naraz haain kisi baat pur to main un say paon pakar kay maafi mang laitee hoon aur aunti nay to mujey sub say pehlay pasand kia thaa aur mohabat dee thee mujay pata hay wo maan jain ge aur koe ayey naa ayey auntee kay bina shadi nai hogee. Ye sun kay apnay kaha “acha ap paraishan na hoon main baat karta hoon ap tension na lain main ap kay sath hoon.” Aur hamdardi ke aisee boht se batain.
(Note: Yahan wazah rahay kay yey batain sirf phone tak mahdood theen wo bhe daily nai, aur kisi bhe kisam ke mulaqat hargiz nai hoti thee. Magar phir bhe in baton kay zakham barson tak lambay hogayaey.)
Ahmad Aziz Ka Plan B-----Hum Total Khufia Shadi Kar Laitay Hain
 Thoray din tak apnay naya bomb explode kia  kay hum total khufia shadi karain gay na kisi dost ko na relative ko batain gay  mujey kisi pur trust nai koe mairee baat nai sun ra main akaila hoon aur ap maira saath dain. Us larki nay jawab dia kay “Jo cheez khufia hotee hay wo to gunah hotee hay, chup kar to gunah kiyey jatay hain aisee kon se majboori haay kay nikaah ko secret rakhain. Aik taraf ap ALLAH ke kasmain kha kha kar mohabat kay daway karain, kabhi saath na chornay ka paka yaqeen dilain raat din aur dooosri taraf aap dunya main ik bhe fard ko yey batanay ki himat na karsakain kay  upni fiancee say shadi kar rahay hain.” Ye sun kar aap chup hogayaey aur yahan say ap ka zehan ub new planning main lag gaya tha jis ke tafsil ap kay khayal main mujey pata nahin chal saki magar agay letter parhtay jain to apko maloom hojayey ga kay mujey sub maloom hochuka hay.
Wah ray aj kay selfish chameleon lovers, daad daini parti hay ap logon ke bay khofi aur rang badalnay ki adaon ko.
Ahmad Aziz Kitnay Aur Love Karnay Hain Abi Apnay
Aur ahmad aziz chahay is dunya main ap akhree mard reh jatay mairay liyey aur shadi mairee kitnee baree he majboori kion nay ban jatee ya mujey kitnay he logon ke batain sun na parteen magaar main phir bhe kabhe aisee larki na thee na banoon gee jo kisi beevi ko  us kay shohar say door karday aur yey raaz bhe muj pur last stage main he khula tha  kay ap separated ya divorced nahin hain bulkay abi tak  wo apki beevi kay status main doosray mulk hay kionkay apkay kuch mufadat us say wabasta hain to ap us ko chorh nai saktay magar dhoka zaroor day saktay hain aur barabar bay wafai karkay new bivis zaroor search kar saktay hain.  Us nay ap say koe bay wafai nai kee bulkay ap ik din bhe us say loyal nai rahay. Aur yey shadi ap donon ke love marriage aur khufia thee. Ahmad the great actor kon sa award dunya ka apki acting pur apkay qabil hay? Dunya ka to koe award hatah kay Oscar bhe apkay talent ko justify nai kar sakta .  
Ap Nay Waar To Bara Gehra Kia Tha Pur Hooya Kuch Yun Keh
 Ahmad Aziz sahib larkian bohat emotional aur wafa daar hotee hain upnay mahboob ya upnay so called fraud ashkon kay liyey upna sub kuch nichawar kardaiteen hain.  Apko mairee zaat say bhe yeh khoosh fehmi thee. Magar ub apko yey hamaisha yad rahay ga kay koe larki aiseee bhee hotee hay kay jis nay saree zindagi character ke hifazat ke ho, jis kay liyey maan baap ke izat aur mazhab- e- Islam ke teachings say barh kar kuch na ho wo aisay kathan raston main bhe kisi mard kay haathon exploit honaay aur kisi ka ghar tabah karnay kay liyey tiyar nai hotee.  Koe shak nai kay itnay emotional traumas, inkaar ke bay iztee sehna aur khandan walon ke batain sehna mairay  liyey bhe na mumkin hojata agar main nay is zindagi aur dunya ke hakeeqat jaan na lee hotee. Jo akhrat pur poora yakeen rakhtay hain wo jantay hain kay asal izat zilat aur asal khooshi ghami ke jagah wo hay, yahan is fani dunaya ke hur cheez fani haay, so upnay ALLAH pur bharosa kia aur jo qurbani main nay Ahmad Aziz kay ghar walaon aur us ki beevi kay liyey us waqt dee thee us ka sila ALLAH nay yey dia kay Ahmad Aziz ka asal chehra dikha dia.
Aur Baiti Jab Hojayey To Baray Baray GunahGar ALLAH Say Dar Jatay Hain Magar Ap Itnay Khof-E- Khuda Say Bay Nayaz Kaisay?
 Ap tareekhi  cheater is liyey hain kay ap sirf masoom larkion ko dhoka nai day rahay yey kaam to average gamers bhe boht asani say karlaitay hain, ap boht baray khilaree hain aik he waqt main upnay maan baap, upnay ghar walon, upnay rishtay daron, doston pehli beevi, hatah kay upni aklotee baitee ko bhe dhoka day rahay hain. Jis company main mulazim hain unko bhe dhoka day rahay hay aur jo company ap ko paal rahi hay us say bhe fraud kar rahay hain. Ap kisi kay sagay nai aur ap kay ghar walaay lagay hain jagah jagah larkian dhoondnay  apko dunya kaa sub say bara mazloom aur dukhi samaj kar jab kay ap is qadar zalim kay apkay zulm ko words main define kia nai ja sakta.
Dhoka To Hur Insaan Khata Hay Pur Aap Jaisa Dhoka Dainay Wala Nasibon Say He Milta Hay
Hur insaan dhoka khata hay life main kabhi na kabhi aur kahin na kahin magar kuch dhokay baaz itnay sangil hotay hain aur unki hur sans jhoot main aisee liptee hotee hay kay insaan Qiamat tak zulm bhool na paye aur shock main rahay yey daikh kar kay insanon kay roop main yey kon se makhlooq hay na jan-daar na bay-jaan.  Aisay log kisi kay sath kitna he bura karlain unki life main koe kami aur dukh nai ata unkay mashgalay jaree rehtay hain aur bazahir aisee acting karain gay kay jaiasay wo zulm karkay boht dukhi hain. Jaisay ap nay  hur waqt yey jutlaya ka yap boht dukhi hain Aur ahmad aziz jis din Makafat-e- Amal sharooh hooya to  chahay is dunya main  ya akhrat main wo din apka nai hoga INSHA ALLAH. Aur baree umid hay is dunya main he apko ibrat milay ge kionkay yey baat boht martaba dunya ke aazmai hooi hay key jo log kisi aurat kay saath bura salook kartay hain unko saza is dunya main bhe zaroor miltee hay.
Three In One Or One In Three
Khufia shadi apki majboori nai bulkay sarasar faida main thee is liyey ap nay asal main ghar main kisi say baat ke he nahin thi  kionkay  kanwaaree nai dulhan bhe miltee, purani beevi ka dar bhe naa rehta aur us say wabasta interests bhe qaim rehtay   aur ghar waalaay jab ghar ghar phir kay dil pasand bahoo taalash karlaitay to usko bhe biah latay kay khandani beevi bhe to ik honee chahiyey. Hana? 
 Ub Akhir Main Batati Hoon Muj Pur Kis Din Apki Asliat Khuli
Mr Ahmad Aziz akhree baat yey kay jab main nay apko samjhaya kay khufia shadi to ik wrong soch hay ain us waqt say ap nay planning sharooh kardee thee kay ub kaisay jaan bachani hay kay larki to kisi soorat main khufia shadi nai karay ge. Ap baray master planner sai magar ALLAH sub say bara planner aur ilm wala hay.  Jab ap nay masoomiat aur mazloomiat aur baap ke beemaree ka khood sakhta drama bana kay khood say  taluq tore dia aur saath main yey bhe kaha kay ap boht majboor hain aur ro rahay hain aur ap ki kismet he aisee hay etc etc, to us din apki asal makrooh shakal samnay ai.
Jab Sanbhal Nahin Saktay To Pakartay Kion Ho?
Kaisay ap log hur baat hur cheez bhool jatay hain ik second main upnay mufadat kay agay aur ik sms, yey oqat rakhtay hain larkion ke------ ik sms kia aur chorh dia larki jo jab larki ap ke koe wrong intensions ya desires pur poori nai utartee. Us din agar ALLAH ka muj pur karam na hota to main toot jatee, jis qadar gehri chot de thi ap nay mujey, magar main ALLAH ke shukar guzar hooon kay main spiritually boht strong hoon. Mujey ALLAH nay hamaisha aisa banaye rakha kay main zindagi kay ik ik more pur is cheez ke qail rahi kay hur larki ko upni izat, dignity, grace aur upni family ke respect hur haal main priority pur rakhnee hay. Izat aur character aisee cheezain hain kay kisi larki ko kisi soorat us pur compromise nahin karna chahiye.
JA BABA MAAF KAR?
Koe shakhs apko itna agay la kar aur upni aadat dal nay kay baad bhe aisi hakarat say chor day jaiasay koe kisi fakir say kahay, ja baba maaf kar----- aur larki phir bhe uski maintain karay. Nahi kabhi nahi kisi soorat kisi larki ko aisa nahi karna achahiyey. 

Ahmad Aziz Ub Hur Dard-E-Dil Rakhnay Walay Ko Mairi Kahani Dard Say Bachayey Ge
Zara se sochnay ke baat hay kay agar mard cruelty ke had tak upnay emotions ko control kar saktay hain upnay mufadat aur upni ego ke khatir to ik aurat upni respect aur upni dignity kay liyey upnay emotions ko thora sa bhe kion na control kar payey.  Majority larkion kay liyey yey boht difficult ho sakta hay but phir bhe impossible nahin bus thora sa strong hona hay. Mairay RAB nay mujey tootnay nai dia takay main upnay dard ko is tarah yaad rakhoon kay  ik aisi active hamdard community banaon jahan kisi ko dard milnay say pehlay he usko  bacha lia jayey ya kam uz kam dard ko aisay banta jayey kay zindagian baach jain.

Larkian Kay Kanch Si Nazuk, In Aabginon Ko Ahmad Azizon Say Bachana Hay Ub
 Jis nay dukh saha hota hay wohi dard bhe doosray ka mahsoos karta hay aur main nay rooh tak main mahsoos kia wo dukh jo Ahmad Aziz ke asal shakal samnay anay pur hooya tha. Aur haqeeqat main easy nai hota jo shakhs hamdard ban kar ik arsa saath rahay wo achanak boht bara fraud zahir ho, yey dhachka sehna hur kisi kay bus ke baat nai.  Laiken ub hur wo larki aur larka jo sachi mohabat pur yakeen rakhta hay us ko agay ana hay doosron ko in jhooti fraud matlab parast mohabat kay sadmon say bachanay kay liyey. Join Now and live "I am ME".


Ahmad shaid marnay say pehlay apko hidayat mil jayey magar itna zaroor hay kay agar ap nay itna bura na kia hota mairay saath to kaisay main itna bara kaam sharooh kar saktee.
The credit goes to you





















     

No comments:

Post a Comment